Announcement

Collapse
No announcement yet.

All Bahadur Shah Zafar Poetry

Collapse

Unconfigured Ad Widget

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 • Filter
 • Time
 • Show
Clear All
new posts

 • All Bahadur Shah Zafar Poetry

  ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota,
  ya mera taj gadayana banaya hota

  khaksaari ke liye garche banaya tha mujhe,
  kaaash sang-e-dar-e-jaanana banaya hota

  nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko,
  umr ka tang na paimana banaya hota

  dil-e-sid chaak banaya to bala se lekin,
  zulf-e-maskeen ka teri shaanah banaya hota

  sufion ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe,
  qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaya hota

  tha jalana hii agar douri-e-saqi se mujhe,
  to chiraag-e-dar-e-mai khana banaya hota

  apna deewana banaya mujhe hota tune
  kyun khiradmand banaya na banaya hota

  sholaa-e-husn chaman mein na dikhaaya us ne
  varanaa bulbul ko bhii parwana banayaa hota

  roz maamura-e-duniya mein kharabi hain "zafar",
  aisi basti ko to veerana banaya hota!
Working...
X